• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tez Ehsas-E-KHudi Darkar Hai

Tez Ehsas-E-KHudi Darkar Hai

tez ehsas-e-ḳhudi darkar hai

zindagi ko zindagi darkar hai

jo chaḌha jaa.e ḳhumistan-e-jahan

haan vahi lab-tishnagi darkar hai

devtaon ka ḳhuda se hoga kaam

aadmi ko aadmi darkar hai

sau gulistan jis udasi par nisar

mujh ko vo afsurdagi darkar hai

sha.eri hai sar-basar tahzib-e-qalb

us ko gham sha.istagi darkar hai

sho.ala men laata hai jo soz-o-gudaz

vo ḳhulus-e-batni darkar hai

ḳhubi-e-lafz-o-bayan se kuchh siva

sha.eri ko sahiri darkar hai

qadir-e-mutlaq ko bhi insan ki

sunte hain be-chargi darkar hai

aur honge talib-e-mad.h-e-jahan

mujh ko bas teri ḳhushi darkar hai

aql men yuun to nahin koi kami

ik zara divangi darkar hai

hosh valon ko bhi meri raa.e men

ek guuna be-ḳhudi darkar hai

ḳhatra-e-bisyar-dani ki qasam

ilm men bhi kuchh kami darkar hai

dosto kaafi nahin chashm-e-ḳhirad

ishq ko bhi raushni darkar hai

meri ghazlon men haqa.eq hain faqat

aap ko to sha.eri darkar hai

tere paas aaya huun kahne ek baat

mujh ko teri dosti darkar hai

main jafaon ka na karta yuun gila

aaj teri na-ḳhushi darkar hai

us ki zulf arasta-pairasta

ik zara si barhami darkar hai

zinda-dil tha taza-dam tha hijr men

aaj mujh ko be-dili darkar hai

halqa halqa gesu-e-shab rang-e-yar

mujh ko teri abtari darkar hai

aql ne kal mere kanon men kaha

mujh ko teri zindagi darkar hai

tez-rau tahzib-e-alam ko ‘firaq’

ik zara ahistagi darkar hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hum Ko Shab-E-Visal Bhi Ranj-O-Mehan Hua

Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke

nida-fazli

Har Ghadi Khud Se Ulajhna Hai Muqaddar Mera

Raushni Thi Tum the Ya KHud Mera Saya Kaun Tha

Wo Ek KHwab Ki Aankhon Mein Jagmaga Raha Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet