kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai
hamen vo bazm men apni kahan bulata hai
na jaane kaun si uftad aa padi hai ki jo
ham ahl-e-ishq ko kar-e-jahan bulata hai
ye kaisa dam-e-rihai bichha diya us ne
zamin pakadti hai aur asman bulata hai
gali gali men aqidon bhari dukanen hain
qadam qadam pe naya astan bulata hai
bhatak gae hain magar gum nahin hue hain kahin
abhi hamen jaras-e-karvan bulata hai
ye aag lagne se pahle ki baz-gasht hai jo
bujhane valon ko ab tak dhuan bulata hai
ummid tutne lagti hai jab bhi koi ‘salim’
to ik yaqin pas-e-vahm-o-guman bulata hai
Leave a Reply