jo ho sake to mayassar hamen tamam raho
qayam dil men karo aur yahin mudam raho
ye koi baat ki is ke hue kabhi us ke
hamare ho to sarasar hamare naam raho
kabhi to aao hamari rasa.i ki had men
kabhi kabhi to hamare liye bhi aam raho
ba.iid kuchh bhi nahin hai hamari baat suno
tanab-e-ḳhema-e-imkan zara sa thaam raho
nahin hai chaah hamen manzilon ki koi ‘ufuq’
safar men saath hamare har ek gaam raho
Leave a Reply