daf.atan bichhḌega vo bhi dil ko ye dhaḌka na tha
jo mire hamrah tha lekin mira saaya na tha
soch ka tufan shadabi baha kar le gaya
aisa lagta hai ki ye chehra kabhi mera na tha
mausam-e-gul men hava.en jaise pathra.i rahin
ḳhushbuon ka koi jhonka is taraf aaya na tha
yuun achanak jaag jaane ki mujhe aadat na thi
aur us ko bhi shikast-e-ḳhvab ka ḳhadsha na tha
aaj ta-hadd-e-nazar be-kaif ‘manzar’ ho gaya
is tarah rangon ko suraj ne kabhi khaya na tha
Leave a Reply