gul-badan ḳhak-nashinon se pare haT jaa.en
asman ujli zaminon se pare haT jaa.en
main bhi dekhun to sahi biphre samundar ka mizaj
ab ye mallah safinon se pare haT jaa.en
karne vaala huun dilon par main mohabbat ka nuzul
saare bu-jahl madinon se pare haT jaa.en
main ḳhalaon ke safar par huun nikalne vaala
chand suraj mire zinon se pare haT jaa.en
ab to ham zahiri sajde bhi tire chhoḌ chuke
ab to ye daagh jabinon se pare haT jaa.en
Leave a Reply