na vo masarrat gunah men hai na vo kashish ab savab men hai
ḳharab-e-saman-e-zindagi sab jahan ki bazm-e-ḳharab men hai
hasin be-shak hai bazm-e-anjum qamar bhi haan kuchh hisab men hai
magar yahan tu hi tu hai yakta saval tere javab men hai
yahan hai bekar us ki hasrat yahan ki vo chiiz hi nahin hai
kare vo rahat ki justuju kyuun jo is jahan-e-ḳharab men hai
paḌi hai bebak jis pe us ko pila diya ek jam-e-masti
bala ki masti bhari hui us nigah-e-mast-e-shabab men hai
badal ga.i hai nigah-e-saqi to rang-e-mahfil badal gaya hai
na ab vo pahli si mai-kashi hai na vo maza ab sharab men hai
suna tha ham ne ki hashr men vo dikhane vaale hain apna jalva
magar jo dekha to aaj bhi vo jamal-e-rangin naqab men hai
dikha raha hai uchhal uchhal kar ye sab ko josh-e-numud-e-ghafil
ki goya dariya-e-be-karan ik nihan jahan-e-habab men hai
kahan vo naghmon men soz-e-mutrib kahan vo aish-o-tarab ki duniya
kahan vo pahla sa kaif baaqi sada-e-chang-o-rabab men hai
hazaron ranginiyan bhi dekhin hazar jalve bhi ham ne dekhe
magar jo phir ghaur kar ke dekha to husn-e-mutlaq hijab men hai
jahan ke sab ranj-o-gham miTa de mire muqaddar ko phir jaga de
ilahi ‘ḳhushtar’ ki iltija ye mudam teri janab men hai
Leave a Reply