siyah dard ka ye sa.eban gir jaa.e
hamin pe TuuT ke kaash asman gir jaa.e
ḳharaba-e-dil-e-tanha na dekha ja.ega
hamin makin hain to ham par makan gir jaa.e
main is larazti si divar-e-dil ka nauha huun
jo kahte kahte koi dastan gir jaa.e
sambhal sambhal ke uTha bar-e-bekasi ka pahaḌ
tire jigar pe na sar ki chaTan gir jaa.e
na aise laung ghuma naak men hasin muTiyar
jo hal chalate hain koi kisan gir jaa.e
dua-e-nim-shabi aur yaqin-e-be-asri
ki jaise tiir se pahle kaman gir jaa.e
‘musavvir’ aisi hui tang ye zamin ham par
baḌhin jidhar bhi vahin asman gir jaa.e
Leave a Reply