hai qissa muḳhtasar mere safar ka
na paani hai na saaya hai shajar ka
nahin hai jis pe tera naqsh-e-pa tak
bharosa kya hai aisi zindagi ka
chala huun janib-e-manzil men lekin
nahin nam-o-nishan tak rahguzar ka
ḳhayal-e-yar men gum ho gaya huun
pata main kis se puchhun apne ghar ka
nahin sahba ki azmat se main munkir
ye nasha hai magar hai raat bhar ka
zamane bhar men rusva ho gaya huun
karishma hai ye bas teri nazar ka
‘premi’ jab bhi jalva-gar vo hoga
badal ja.ega manzar bam-o-dar ka
Leave a Reply