mai ho saghar men ki ḳhuun raat guzar ja.egi
dil ko gham ho ki sukun raat guzar ja.egi
dekhna ye hai ki andaz-e-sahar kya honge
yuun to arbab-e-junun raat guzar ja.egi
na ruka hai na ruke qafila-e-lail-o-nahar
raat kam ho ki fuzun raat guzar ja.egi
main tira mahram-e-asrar huun ai sub.h-e-bahar
ja ke phulon se kahun raat guzar ja.egi
muzhda-e-sub.h mubarak tumhen ai dida-varo
main jiyun ya na jiyun raat guzar ja.egi
raat bhar main ne saja.e sar-e-mizhgan taare
mujh ko tha vahm ki yuun raat guzar ja.egi
sub.h uTh kar tujhe rah-rau se lipaTna hoga
rahbar-e-tira-darun raat guzar ja.egi
Leave a Reply