duniya kis ki ungliyon par gardish kar rahi hai
ham nahin jante
ham bas ye jante hain
hamara vaqt tumhari ungliyon ki jumbish ka paband hai
ham ne jab giroh banae
surkh
niila
piila
sabz
naranji
kasni
safed
hamen tum ne in men se kisi giroh men nahin rakha
dar-asl tum ne hamen jaana hi nahin
ham tumhari zamin se bahar the
ek gahri siyahi men
apni siyahi men
ham is koshish men rahe
ki tumhari ghumti hui zamin ki kashish men dakhil ho jaaen
jab ham aisa karne men kamyab ho gae
tab hamen pata chala
ki ye sab tumhari ungliyon ki jumbish ka kamal hai
aur aaj jab ham
na chahte hue bhi
tumhare safed markaz ki samt badhe chale ja rahe hain
to hamen apni siyahi
aur is men rah jaane vaale log
buri tarah yaad kyuun aa rahe hain!
Leave a Reply