main soz-e-darun apna dikha bhi nahin sakta
kya mujh pe guzarti hai bata bhi nahin sakta
raushan hai isi se mira kashana-e-hasti
is sham-e-mohabbat ko bujha bhi nahin sakta
hai bar-e-samaat use iz.har-e-tamanna
ye hal-e-zabun us ko suna bhi nahin sakta
zinda hai zamir apna abhi, samne us ke
apna sar-e-taslim jhuka bhi nahin sakta
had hoti hai ik naaz uthane ki kisi ke
ye bar-e-garan ab main utha bhi nahin sakta
is haal men kab tak yunhi ghut ghut ke jiyunga
rutha hai vo aise ki mana bhi nahin sakta
tha ghair jise apna samajhta tha bahi-khvah
ab mahfil-e-yaran vo saja bhi nahin sakta
nafiz hai zaban-bandi ka dastur abhi tak
kya dil pe guzarti hai bata bhi nahin sakta
har vaqt tasavvur men hai jo azmat-e-rafta
khoya hua eazaz vo pa bhi nahin sakta
khvabon men hasin taj-mahal karta hai taamir
apne liye ik ghar jo bana bhi nahin sakta
kyuun niind udata hai vo ‘barqi’ ki ab us se
vo vada-e-farda jo nibha bhi nahin sakta
Leave a Reply