bigad kar adu se dikhate hain aap
banavat ki baten banate hain aap
badhane ko qisse shab-e-vasl men
fasane adu ke sunate hain aap
kisi ko tajalli kisi ko javab
ajab kuchh lagate-bujhate hain aap
bigadne ke asbab lazim nahin
nai baat dil se banate hain aap
na aana tha gar aae kyuun khvab men
magar sote fitne jagate hain aap
bandhe kya kisi se ummid-e-visal
nazar se nazar kab milate hain aap
Leave a Reply