Teri Thaki Hui Aaankhon Mein KHwab Tha Ki Nahin

tirī thakī huī ā.ankhoñ meñ ḳhvāb thā ki nahīñ

mire savāl kā koī javāb thā ki nahīñ

uThā ke sirf babūloñ ke ḳhaar le aa.e

chaman chaman kahīñ taaza gulāb thā ki nahīñ

baḌe sukūñ se rahe mom ke badan vaale

tumhārā shahr tah-e-āftāb thā ki nahīñ

har ek shaḳhs vahāñ gin rahā thā lahroñ ko

guzarte lamhoñ kā koī hisāb thā ki nahīñ

sarāb tishna-labī dhuup ābla-pā.ī

ḳhayāl pichhle safar kā azaab thā ki nahīñ

har ek samt udāsī kā rañg thā ‘shāhid’

vo jalva-sāz kabhī be-hijāb thā ki nahīñ

Leave a Comment