iza-dahi ki daad jo paata raha huun main
har naz-afrin ko satata raha huun main
ai ḳhush-ḳhiram paanv ke chhale to gin zara
tujh ko kahan kahan na phirata raha huun main
ik husn-e-be-misal ki tamsil ke liye
parchha.iyon pe rang girata raha huun main
kya mil gaya zamir-e-hunar bech kar mujhe
itna ki sirf kaam chalata raha huun main
ruhon ke parda-posh gunahon se be-ḳhabar
jismon ki nekiyan hi ginata raha huun main
tujh ko ḳhabar nahin ki tira karb dekh kar
akasr tira mazaq uḌata raha huun main
shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui
lekin yaqin sab ko dilata raha huun main
ik satr bhi kabhi na likhi main ne tere naam
pagal tujhi ko yaad bhi aata raha huun main
jis din se e’timad men aaya tira shabab
us din se tujh pe zulm hi Dhata raha huun main
apna misaliya mujhe ab tak na mil saka
zarron ko aftab banata raha huun main
bedar kar ke tere badan ki ḳhud-agahi
tere badan ki umr ghaTata raha huun main
kal dopahar ajiib si ik be-dili rahi
bas tiliyan jala ke bujhata raha huun main
Leave a Reply