fareb-e-ulfat ki dastan men asar ki ummid hi kahan hai
abhi to mujh ko isi men shak hai yaqin yaqin hai guman guman hai
mujhi tak un ki jafa na samjho ye imtihan hai vo imtihan hai
vahin qayamat ka samna hai vafa ki manzil jahan jahan hai
nisab-e-ulfat se be-ḳhabar hai sanad nahin bul-havas ka da.ava
jo lafz meri zaban se nikle vahi mohabbat ki dastan hai
kahan pahunch ki aarzu hai tumhare naqsh-e-qadam pe chal kar
tum apne dil se pata lagao miri tamanna ki had kahan hai
fareb ban kar nashat-e-dil ka rahega kab tak ye aish-e-rafta
badal chuka karvaTen zamana miri nazar men vahi saman hai
idhar umangon ki lahar dil men udhar javani ki ḳhud-numa.i
paḌe hain ik kashmakash men donon mazaq-e-fitrat ka imtihan hai
tumhari ghaflat-shi.ariyon ne vo gul khila.e ki rang badla
qafas ki buniyad rakhne vaale ḳhizan ke qabze men ashiyan hai
palaT gaya ‘jurm’ ruḳh hava ka hain aise asar ab huvaida
bahar aa.e na ba.ad jis ke chaman men vo mahshar-e-ḳhizan hai
Leave a Reply