jo baat tujh men hai tiri tasvir men nahin
rangon men tera aks dhala tu na dhal saki
sanson ki aag jism ki khushbu na dhal saki
tujh men jo loch hai miri tahrir men nahin
be-jan husn men kahan guftar ki ada
inkar ki ada hai na iqrar ki ada
koi lachak bhi zulf-e-girah-gir men nahin
duniya men koi chiiz nahin hai tiri tarah
phir ek baar samne aa ja kisi tarah
kya aur ik jhalak miri taqdir men nahin
Leave a Reply