shikam-e-mahi kabhi tuur ata karta hai
tirgi us ki vahi nuur ata karta hai
zard mausam vahi deta hai hari Tahni ko
ḳhali peḌon ko vahi baur ata karta hai
nar-e-dozaḳh bhi hai maḳhluq usi ḳhaliq ki
vahi firdaus vahi huur ata karta hai
us ko kuchh ḳhauf nahin dahr ke aqaon ka
vo kumak zahir-o-mastur ata karta hai
bhed khulte hain kabhi aur ulajh jaate hain
manzilen paas kabhi duur ata karta hai
jab bhi uThta hai zamin se koi fitna koi shar
aman ka vo naya manshur ata karta hai
har kisi ko kahan deta hai ye sauda ye junun
sab ko kab jur.at-e-mansur ata karta hai
Leave a Reply