vo roz-o-shab bhi nahin hain vo rang-o-bu bhi nahin
vo bazm-e-jam-o-subu bhi nahin vo tu bhi nahin
na dil dhaḌakte hain mil kar na ankhen jhukti hain
lahu ki gardishen ab misl-e-abju bhi nahin
kabhi kabhi ki mulaqat thi sau vo bhi ga.i
tiri nigah ka rang-e-bahana-ju bhi nahin
kab aftab Dhale aur chandni chhiTke
kisi ko ab ye sar-e-sham justuju bhi nahin
bas ab to yaad se hi zindagi ibarat hai
kahan ka va.ada ki milne ki aarzu bhi nahin
ki jaise bhige paron se uḌanen chhin jaa.en
dilon ki sozish-e-be-nam ku-ba-ku bhi nahin
vo jis ki garmi qayamat uTha rahi thi kabhi
usi badan ko jo kaaTo to ab lahu bhi nahin
lagi hai tiis baras se hamare ḳhuun ki jhaḌi
magar abhi shajar-e-dar surḳh-ru bhi nahin
main sochta huun ji.en bhi to kis liye ‘farigh’
ki ab to shahr men pahli si aabru bhi nahin
Leave a Reply