miri chiḳhon se kamra bhar gaya tha
koi kal raat mujh men mar gaya tha
bahut mushkil hai us ka lauT aana
vo puuri baat kab sun kar gaya tha
mujhe pahchanta bhi hai koi ab
main bas ye dekhne hi ghar gaya tha
zamana jis ko dariya kah raha hai
hamari aankh se bah kar gaya tha
ka.i sadiyon se sukha paḌ raha hai
yahan ik shaḳhs pyasa mar gaya tha
hamara bojh tha sar par hamare
tumhare saath to naukar gaya tha
ye mat samjha ḳhata kis se hui thi
bata ilzam kis ke sar gaya tha
Leave a Reply