manzar jhalakte chand ka kitna hasin tha
us ki qaba ki tarah vo badal mahin tha
hairan hai mujh ko dekh ke kyuun TuTta daraḳht
main ug raha huun ab ki main zer-e-zamin tha
ab khul gaya hai mujh se to had se guzar gaya
varna vo dekhne men to behad matin tha
main hosh-mand rah ke bhi nadan hi raha
jazbat men vo bah ke bhi kitna zahin tha
tujh ko raha na apne zar-e-gham ka e’timad
varna ye dil to dard-e-jahan ka amiin tha
‘arif’ zaban us ki na deti thi dil ka saath
inkar kar ke aa.ega mujh ko yaqin tha
Leave a Reply