na jaane kaun sa manzar nazar men rahta hai
tamam umr musafir safar men rahta hai
laḌa.i dekhe hue dushmanon se mumkin hai
magar vo ḳhauf jo divar-o-dar men rahta hai
ḳhuda to malik-o-muḳhtar hai kahin bhi rahe
kabhi bashar men kabhi janvar men rahta hai
ajiib daur hai ye tai-shuda nahin kuchh bhi
na chand shab men na suraj sahar men rahta hai
jo milna chaho to mujh se milo kahin bahar
vo koi aur hai jo mere ghar men rahta hai
badalna chaho to duniya badal bhi sakti hai
ajab futur sa har vaqt sar men rahta hai
Leave a Reply