jo mudda.a hai dilon ka yahan nahin milta
jahan-e-raz hai raz-e-jahan nahin milta
jo kaifiyat hai ḳhamoshi men vo bayan men nahin
bayan karun bhi to lutf-e-bayan nahin milta
junun ki raah men ye kaun sa maqam aaya
ki ab suragh-e-zaman-o-makan nahin milta
na ab zamin ki ḳhabar hai na asman ki ḳhabar
mire hi naqsh-e-qadam ka nishan nahin milta
ḳhizan men ahl-e-nasheman ko tha bahar ka gham
bahar aa.i to ab ashiyan nahin milta
har ek yuun to hai adab-e-ishq se vaqif
mire junun ka magar razdan nahin milta
mohabbaton men kami kya hui ki siine men
vo be-qarar dil-e-bad-guman nahin milta
hanuz ḳhatm nahin justuju-e-mah-vishan
abhi to zer-e-qadam asman nahin milta
faza-e-lala-o-gul sard hoti jaati hai
‘jamal’ sa koi sho.ala-bayan nahin milta
Leave a Reply