maazi ke jab zaḳhm ubharne lagte hain
ankhon se jazbat bikharne lagte hain
zehn-o-dil men us ki yaden aate hi
lafz shararat ḳhud hi karne lagte hain
kar ke yaad tire mathe ka bosa ham
ungli ab honThon pe dharne lagte hain
teri main tasvir kabhi jo dekhun to
mere din aur raat Thaharne lagte hain
bin tere sanson ki halat mat puchho
ghuT ghuT kar rozana marne lagte hain
ham par andhere kuchh haavi hain aise to
ham ḳhud ke saa.e se Darne lagte hain
‘mit’ kahani ulfat ki jab paḌhta huun
ankhon se kirdar guzarne lagte hain
Leave a Reply