na yaad aaya na bhula na saneha mujh ko
bana gaya jo ik aisa mujassama mujh ko
ki raste men khada but samajh ke chhod gaya
tamam umr ki yadon ka qafila mujh ko
main so rahi thi usi dastan men sadiyon se
sula gaya tha jahan mera hafiza mujh ko
kisi qadim kahani ka ik charagh huun main
bujha ke chhod gai taaq par hava mujh ko
phir uth ke niind men jaati thi us taraf har shab
pukarta tha jidhar se mira pata mujh ko
magar ye hosh na tha le ke ja raha hai kahan
bikharti tutti yadon ka silsila mujh ko
Leave a Reply