is divane dil ko dekho kya sheva apna.e hai
us par hi vishvas kare hai jis se dhoka khaa.e hai
saara kaleja kaT kaT kar jab ashkon men bah jaa.e hai
tab koi farhad bane hai tab majnun kahla.e hai
main jo taḌap kar ro.uun huun to zalim yuun farma.e hai
itna gahra ghaav kahan hai nahaq shor macha.e hai
tum ne mujh ko ranj diya to is men tumhara dosh nahin
phuul bhi kanTa ban jaa.e hai vaqt bura jab aa.e hai
Leave a Reply