
Athar Shakeel
us ko tum mere ta.alluq ka havala dete
main bhi kal us ka shanasa tha ye samjha dete
ye amavas ka andhera hai ki chhuTta hi nahin
kaash vo aa ke kabhi ghar ko ujala dete
ham ne duniya ka bahut saath diya hai ab tak
kaash ik baar kabhi saath ham apna dete
ham tahi-dast sahi phir bhi saḳhi hain itne
qatra milta to evaz men tumhen dariya dete
dil-shikasta ki tasalli ko hai duniya lekin
kaash vo bhi to kabhi aa ke sahara dete
sirf ghaflat ko to sona nahin kahte ‘at.har’
ankhon ko niind hi ke saath men sapna dete

Leave a Reply