• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mil Chuka Mahfil Mein Ab Lutf-E-Shakebai Mujhe

Mil Chuka Mahfil Mein Ab Lutf-E-Shakebai Mujhe

mil chuka mahfil men ab lutf-e-shakeba.i mujhe

khinchti hai apni janib teri angḌa.i mujhe

ba.ad marne ke jo hasil hogi rusva.i mujhe

zindagi kya soch kar duniya men tu laa.i mujhe

ishq men yuun husn ki surat nazar aa.i mujhe

vo tamasha ban ga.e kah kar tamasha.i mujhe

ḳhud pukar uThta junun takmil-e-vahshat ho ga.i

vo samajh lete jo dil men apna sauda.i mujhe

ho gaya kohram barpa ḳhana-e-sayyad men

baiThe baiThe ashiyan ki yaad jab aa.i mujhe

kal tha main ka.abe men maujud aaj but-ḳhane men huun

chain deta hi nahin shauq jabin-sa.i mujhe

aa.ina bhi tha koi kya zindagi ka aa.ina

dekhne par maut ki surat nazar aa.i mujhe

zindagi ki kashmakash se dast-kash hona paḌa

naza.a men yaad aa ga.i jab un ki angḌa.i mujhe

khul ga.i chashm-e-basirat ḳhaak men milne ke ba.ad

dil ke har zarre men ik duniya nazar aa.i mujhe

hazrat-e-‘bismil’ ye achchhi dil ko sujhi dil-lagi

kar diya shamshir-e-qatil ka tamanna.i mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHu-E-Gham Dil Ko Hai Yani His-E-Gham Kuchh Bhi Nahin

sahir-ludhianvi

Sathi Hath Badhana

Jaan Di Kis Ke Liye Hum Ye Bataen Kis Ko

Socho to Bahut Kuchh Hai Magar Baat Zara Si

Use Malal Ho Kya Dost Ki Judai Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet