daman saba na chhu sake jis shah-savar ka
pahunche kab us ko haath hamare ghubar ka
mauj-e-nasim aaj hai aluda gard se
dil khaak ho gaya hai kisi be-qarar ka
khun-e-jigar sharab o tarashshah hai chashm-e-tar
saghar mira giro nahin abr-e-bahar ka
chashm-e-karam se ashiq-e-vahshi asiir ho
ulfat hai dam-e-ahu-e-dil ke shikar ka
saunpa tha kya junun ne gareban ko mire
leta hai ab hisab jo ye taar taar ka
‘sauda’ sharab-e-ishq na kahte the ham, na pi
paaya maza na tu ne ab us ke khumar ka
Leave a Reply