nala-bar-lab haram se nikalna paḌa
ik dua maang kar haath malna paḌa
rahguzar men na tha ashna koi shaḳhs
phir bhi har shaḳhs ke saath chalna paḌa
kaisi shabnam kahan ke nasim-o-sahab
apne sho.ale men har gul ko jalna paḌa
adatan ḳhizar ke saath duniya chali
fitratan ham ko aage nikalna paḌa
chalte chalte jahan ‘shor’ ham ruk ga.e
apna ruḳh hadson ko badalna paḌa
Leave a Reply