ḳhun-e-nahaq ki tarah galiyon men jab bahti hai raat
zarra zarra chiḳhta hai aur chup rahti hai raat
parsaon ke haram abad rakhne ke liye
dashtaon ki tarah hans hans ke dukh sahti hai raat
jab kivaḌon se hava sargoshiyan karne lage
tab diye ki lau se dhire dhire kuchh kahti hai raat
chand taron ke isi malbe se taaza aftab
sar uThata hai khanDar ki tarah jab Dahti hai raat
kaun darvaze dabe qadmon nikal jaata hai din
kaun si dahliz par sar rakh ke so rahti hai raat
Leave a Reply