samar se puchh lo zauq-e-tarash kaisa hai
vo dil jo tum ne kiya qaash qaash kaisa hai
koi to saql gira hoga bahr-e-sakit men
vagarna phir ye dili irti.ash kaisa hai
na ta.aziyat ki zarurat na fikr-e-ghamzadagan
hanut jis ne bhi ki apni laash kaisa hai
nuqush-e-maslak-o-minhaj hi bata.enge
vo ḳhush-mizaj hai ya bad-qimash kaisa hai
havas-bhaḳhta jis se hain asman-o-zamin
bata vo saneha-e-dil-ḳharash kaisa hai
vo ji raha tha duaon ke saḳht narghe men
hisar-e-zat hua paash paash kaisa hai
vajud us ka tha a.ina-e-tilismati
vo aks jis ne kiya raaz faash kaisa hai
qimar-ḳhana-e-dil men ḳhayal-e-rangin se
jo shaḳhs khelta rahta tha taash kaisa hai
kahin to vo bhi tumhari tarah na ho ‘rahi’
batao jis ki hai tum ko talash kaisa hai
Leave a Reply