• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Baat Baat Pe Kahta Hai Bewafa Mujhko

Wo Baat Baat Pe Kahta Hai Bewafa Mujhko

vo baat baat pe kahta hai bevafa mujh ko

sikha diya unhin baton ne bolna mujh ko

main apni zaat men gum ho gaya tha sab se duur

tiri nazar se mila hai mira pata mujh ko

haqiqaton se nazar kab talak chura.unga

ki baar baar dikhati hain aa.ina mujh ko

vo chahta tha ki main us ki ik jhalak dekhun

main sochta tha kahin se vo de sada mujh ko

bhula.e baiTha tha jis ko main ek muddat se

na jaane kaise vo phir yaad aa gaya mujh ko

mire ḳhilaf ‘qamar’ jaane kis ki sazish hai

banaya jaata hai har roz mas.ala mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tha Jo Ek Kafir Musalman Ho Gaya

Qaza Ka Raaz Hai Muzmar Jo Chand Sanson Mein

poet

Wada Gar Rose Kiye Jaiyega

Purana Qissa Tamam Karna paDega Usko

akhtar-ul-iman

dasna Station Ka Musafir

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet