bikharte TuTte lamhon ko apna ham-safar jaana
ki tha is raah men aḳhir hamen ḳhud bhi bikhar jaana
sar-e-dosh-e-hava ik abr-pare ki tarah ham hain
kisi jhonke se puchhenge ki hai ham ko kidhar jaana
dil-e-avara kya paband-e-zanjir-e-ta.alluq ho
na tha bas men kisi ke bhi hava ko qaid kar jaana
pas-e-zulmat koi suraj hamara muntazir hoga
isi ik vahm ko ham ne chiragh-e-rah-guzar jaana
hamen to saath dena hai rafiqan-e-talatum ka
mubarak tujh ko tanha is nadi ke paar utar jaana
mire jalte hue ghar ki nishani bas yahi hogi
jahan is shahr men kuchh raushni dekho Thahar jaana
suhane mausamon ki yaad sikhlaya tujhe kis ne
ufuq par diida o dil ke dhanak ban kar bikhar jaana
hisar-e-zabt men rah kar ma.al-e-hasrat-e-dil kya
kisi qaidi parinde ki tarah ghuT ghuT ke mar jaana
dayar-e-ḳhamushi se koi rah rah kar bulata hai
hamen ‘maḳhmur’ ik din hai usi avaz par jaana
Leave a Reply