miri aadat hai main har rahbar se baat karta huun
guzarta huun jo raste se shajar se baat karta huun
main tujh se baat karne ko tire kirdar men aa kar
idhar se phone karta huun udhar se baat karta huun
main tere saath to ghar men baḌa ḳhamosh rahta tha
nahin maujud tu ghar men to ghar se baat karta huun
ḳhizan ka koi manzar mere andar raqs karta hai
kabhi jo ban men gul se ya samar se baat karta huun
suḳhan ke fan ko aise hi to zaa.e.a kar nahin sakta
so main ḳhud se ya phir ahl-e-nazar se baat karta huun
Leave a Reply