zahid nahin masjid se kam hurmat-e-mai-khana
maston ki jamaat men mehrab hai paimana
kyuun zulf tiri uljhi rahti hai ai janana
hazir hai dil-e-sad-chak darkar ho gar shana
dekhe jo tiri surat ho jaae hai divana
hai aks se tujh rukh ke aina pari-khana
is dil ka mire jalna rakhta hai vo kaifiyyat
dekhega jo parvana ho jaega mastana
ik naqd-e-nigah par ‘ishq’ bikta hai to kar sauda
de bahr-e-kharidari didar ka baiana
Leave a Reply