vafa ko kahan bevafa janta hai
haqiqat hai kya aa.ina janta hai
kisi ko batane se kya hoga hasil
mira haal mera ḳhud janta hai
koi bhi na bola jo main ne ye puchha
koi us ke ghar ka pata janta hai
zara ishq karne se pahle samajh le
mohabbat ka kya falsafa janta hai
andhera bahut aur lamba safar hai
hai manzil kahan rahnuma janta hai
‘nazar’ andhiyon men jo raushan hai ab tak
diya bhi mizaj-e-hava janta hai
Leave a Reply