• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chamakti Wusaton Mein Jo Gul-E-Sahra Khila Hai

Chamakti Wusaton Mein Jo Gul-E-Sahra Khila Hai

zafar-iqbal

chamakti vusaton men jo gul-e-sahra khila hai

koi kah de agar pahle kabhi aisa khila hai

azal se gulshan-e-hasti men hai maujud bhi vo

magar lagta hai jaise aaj hi taaza khila hai

baham kaise hue hain dekhna khvab aur khushbu

guzarte mausamon ka akhiri tohfa khila hai

lahu men ik alag andaz se mastur tha vo

sar-e-shakh-e-tamasha aur bhi tanha khila hai

kahan khak-e-madina aur kahan khakistar-e-dil

kahan ka phuul tha lekin kahan par aa khila hai

kabhi dil par giri thi shabnam-e-ism-e-mohammad

miri har saans men kaliyon ka majmua khila hai

yahi rauzan banega ek din divar-e-jan men

mire dil men nidamat ka jo ik lamha khila hai

yahin tak laai hai ye zindagi bhar ki masafat

lab-e-dariya huun main aur vo pas-e-dariya khila hai

bikharta ja raha hai duur tak rang-e-judai

‘zafar’ kya puchhte ho zakhm-e-dil kaisa khila hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Maine Kahin Thin Aap Se Baaten Bhali Bhali

Aks Ne Aaine Ka Ghar chhoDa

Gham Ke Sunsan Bayaban Se Nikalta Hi Nahin

poet

Tere Kuche Ki Hua Lag Gai Shayad Usko

ahmad-mahfuz

Nahin Aasman Teri Chaal Mein Nahin Aaunga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet