na saz-o-mutrib na jam-o-saqi na vo bahar-e-chaman hai baaqi
nigah-e-sham-e-sahar ke parde ye naqsha-e-anjuman hai baaqi
zamana guzra vo yasman-bu juda hui ham-kanar ho kar
magar abhi tak hamare pahlu men nikhat-e-yasman hai baaqi
bhula chuki dil se sham-e-ghurbat har ek naqsha har ek surat
hamari ankhon men lekin ab tak farogh-e-subh-e-vatan hai baaqi
zamana badla miti javani na vo mohabbat na zindagani
bas ek bholi si yaad hai jo ba-rang-e-dagh-e-kuhan hai baaqi
mita diye be-sutun charkh-e-kuhan ne shirin-laqa hazaron
magar mohabbat ke lab par ab bhi tarana-e-kohkan hai baaqi
habab-asa muhit-e-hasti men jo hai mitne ko ban raha hai
hai inqalab ik numud aisi jo zer-e-charkh-e-kuhan hai baaqi
gham-e-zamana ki sakhtiyon se hui hai pamal tab-e-‘akhtar’
na vo nishat-e-kuhan hai baaqi na vo mazaq-e-sukhan hai baaqi
Leave a Reply