na nazar se koi guzar saka na hi dil se malba haTa saka
na vo dar bacha na vo ghar bacha tere ba.ad koi na aa saka
na vo his kisi men na taab hai mira gham to ḳhair uThae kaun
vo jo misra gham ka tha tarjuman koi us ko bhi na uTha saka
kabhi ḳhauf tha tire hijr ka kabhi aarzu ke zaval ka
raha hijr-o-vasl ke darmiyan tujhe kho saka na main pa saka
mire dil men tuḳhm-e-yaqin rakh de lachak tu shaḳh-e-mizaj ko
vo chaman khila mire baghban jo chaman koi na khila saka
mire saath su-e-junun chal mire zaḳhm kha mira raqs kar
mire sher paḌh ke milega kya pata paḌh ke ghar koi pa saka?
jo likho ibarat-e-ishq tum to ana ka koi na pech ho
jo lab-e-davat pe jhuk gaya vo qalam hi naqsh bana saka
Leave a Reply