khul gaya raaz ayaan ho ga.i ayyari-e-shab
kitni saffak hai batin men ziya-bari-e-shab
mohlat-e-ishq ko darkar hai marzi us ki
dil ke saude men siva hogi ḳharidari-e-shab
kahin aansu kahin aahen kahin pamal faza
jis taraf dekho nazar aa.e siyahkari-e-shab
niind ka kya hai vo suuli pe bhi aa jaa.e magar
durr-e-nayab hui jaati hai bedari-e-shab
roz kahti hai ḳhirad din ki rifaqat men rahun
dil magar roz hi karta hai taraf-dari-e-shab
ik vahi ḳhvab jo palkon se juda ho na saka
umr bhar naaz se karta raha dildari-e-shab
ḳhema-e-chashm jala ḳhvab ka asbab jala
ashk se ho ga.i takmil-e-sharar-bari-e-shab
roz-e-raushan ki tarah main bhi safar karta ‘shakil’
gar miri raah men hoti na amal-dari-e-shab
Leave a Reply