sitare ka raaz rakh liya mehman main ne
ik ujle ḳhvab aur aankh ke darmiyan main ne
chaḌha hai jab chand asman par to bojh utra
suna di har sone vaale ko dastan main ne
tamam tesha-ba-dast hairat men gum hue hain
charagh se kaaT di hava ki chaTan main ne
main dhuup men kyuun kisi ka ehsanmand hota
ḳhud apne saa.e ko kar liya sa.eban main ne
‘jamal’ har shahr se hai pyara vo shahr mujh ko
jahan se dekha tha pahli baar asman main ne
Leave a Reply