• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Suno Hamdam

Suno Hamdam

naz-butt

suno hamdam main rasta bhuul baithi huun

udasi ka ghana jangal

mire ehsas pe tarikiyon ke an-ginat saae bichhata hai

mujhe aaseb ki surat darata hai

hava ki chikh meri niind ko aise nigalti hai

ki jaise aag sukhi lakdiyon ko raakh karti hai

jahan main paanv rakhti huun

vahan par vasvason ke naag phan phailae baithe hain

main jitne zor se avaz deti huun

miri khamoshiyan apne tasalsul men mujhe aane nahin detin

miri avaz ghut jaati hai andar hi kahin par duub jaati hai

suno hamdam

main tanha huun

kabhi aao pakad kar haath le jaao

mujhe tarikiyon ki raat se raushan dinon tak saath le jaao

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mizaj-E-Mustaqil Dena Shuur-E-Moatabar Dena

poet

Maza Hai Imtihan Ka Aazma Le Jis Ka Ji Chahe

Wo shaKHs Ki Main Jis Se Mohabbat Nahin Karta

muneer-niyazi

Apne Ghar Mein

abroo-shah-mubarak

Chanchalahat Mein Tu Mamola Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet