tumhen zeba nahin hargiz sile ki aarzu rakhna
tumhara kaam hai ‘atish’ qalam ki aabru rakhna
agar dil men tamanna-e-nashat-e-rang-o-bu rakhna
maal-e-khanda-gul ko bhi apne ru-ba-ru rakhna
ye mai-khana hai mai-khana taqaddus us ka lazim hai
yahan jo bhi qadam rakhna hamesha ba-vazu rakhna
kahin tauq-o-salasil hain kahin zahr-e-halahal hai
mujhe har azmaish men ilahi surkh-ru rakhna
zamane par kise maalum kaisa baar guzra hai
mira haqq-o-sadaqat par madar-e-guftugu rakhna
na mil paae suragh-e-manzil-e-janan na mil paae
hamara kaam hai jaari talash-o-justuju rakhna
Leave a Reply