Bhatakta Phir Raha Hun Justuju Bin

bhatakta phir raha huun justuju bin

sarapa aarzu huun aarzu bin

koi is shahr ko taraj kar de

hui hai meri vahshat ha-o-hu bin

ye sab mojiz-numai ki havas hai

rafugar aae hain tar-e-rafu bin

maash-e-be-dilan puchho na yaaro

numu paate rahe rizq-e-numu bin

guzar ai shauq ab khalvat ki raten

guzarish bin gila bin guftugu bin

Leave a Comment