ada-shanas tira be-zaban nahin hota
kahe vo kis se koi nukta-dan nahin hota
sab ek rang men hain mai-kade ke ḳhurd o kalan
yahan tafavut-e-pir-o-javan nahin hota
qimar-e-ishq men sab kuchh ganva diya main ne
umid-e-nafa.a men ḳhauf-e-ziyan nahin hota
sahm raha huun main ai ahl-e-qabr batla do
zamin tale to koi asman nahin hota
vo mohtasib ho ki vaa.iz vo falsafi ho ki shaiḳh
kisi se band tira raz-dan nahin hota
vo sab ke samne is sadgi se baiThe hain
ki dil churane ka un par guman nahin hota
jo aap chahen ki le len kisi ka muft men dil
to ye muamla yuun mehrban nahin hota
jahan fareb ho ‘majzub’ ye tiri surat
buton ke ishq ka tujh par guman nahin hota
Leave a Reply