aḳhir-e-kar yahi uzr jafa ka nikla
jurm aur jurm bhi ik umr-e-vafa ka nikla
os men Duub ke jis tarah nikharta hai gulab
sharm se aur siva husn ada ka nikla
kya kari hai ki jab dar pe tire aa baiTha
astin se na kabhi haath gada ka nikla
jo dua mangi hai auron hi ki ḳhatir mangi
hausla aaj mire dast-e-dua ka nikla
shauq-e-manzil hi liye uTh ga.e jaane vaale
ashna ek na avaz-e-dara ka nikla
jab tu hi tu hai to phir ghaib o huzuri kaisi
ek hi rang baqa aur fana ka nikla
Leave a Reply