• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gham-E-Hayat Ko Apnao Zindagi Kar Lo

Gham-E-Hayat Ko Apnao Zindagi Kar Lo

gham-e-hayat ko apnao zindagi kar lo

ab ankhen khol do ik pal ko raushni kar lo

ghamon ke daur men tum ko agar hai ḳhush rahna

to muskurao zara dard men kami kar lo

main is sahare tamam umr kaaT sakta huun

nazar se chhu ke mire ḳhat ko surma.i kar lo

kise ḳhabar hai ki baaqi hai zindagi kab tak

ye mashvara hai ki ab mujh se dosti kar lo

ik ajnabi se sune main ne tazkire apne

ab is se achchha hai charcha gali gali kar lo

tum apni zaat ko mahsus kar na paoge

tum apni zaat se mujh ko agar nafi kar lo

bhaTak rahe ho udasi ke dasht men ‘afaq’

tumhen ye kis ne kaha tha ki ashiqi kar lo

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Murgh Zirak Aql Ka Hai Ishq Ka Sayyaad shoKH

poet

Aankhon Ko Mayassar Koi Manzar Hi Nahin Tha

meer-hasan

Hai dhyan Jo Apna Kahin Ai Mah-Jabin Aur

Yaad Nahin Kya Kya Dekha Tha Sare Manzar Bhul Gae

afeef-siraj

Wo Jo Husn-e-Kul Ki dalil Tha Wo Khayal Aa Ke Saja Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet