nagin hai zulf-e-yar na zinhar dekhna
uḌ uḌ ke kaTti hai ḳhabar-dar dekhna
kahte hain log mujh se ye kha kha ke ab qasam
ḳhunḳhar hai ye shoḳh sitamgar dekhna
shirin dahan na bujhiyo hain shahd ki chhuri
hans hans ke jaan len hain ye atvar dekhna
kahta huun dar javab unhon ke men ru-ba-ru
chaho so ho par mujhe ik baar dekhna
qaabu men aata to nahin hai mire raqib
kahin daad ban gaya to mere yaar dekhna
shana samajh ke kijiyo zulfon ko apni yaar
uljha hai us men dil ye giraftar dekhna
dil ḳhush hua kahin to phir apna ye hai shi.ar
ja kar ke baagh men gul-o-gulzar dekhna
apni nazar to ‘nayan’ ḳhuda par hai ho so ho
jo aan baaz khaa.e so lachar dekhna
Leave a Reply