• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-Mai-Parasti Hai

Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-Mai-Parasti Hai

Bedam Shah Warsi

ye saaqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai

ghata ke bhes men mai-khane par rahmat barasti hai

ye jo kuchh dekhte hain ham fareb-e-khvab-e-hasti hai

takhayyul ke karishme hain bulandi hai na pasti hai

vahan hain ham jahan ‘bedam’ na virana na basti hai

na pabandi na azadi na hushyari na masti hai

tiri nazron pe chadhna aur tire dil se utar jaana

mohabbat men bulandi jis ko kahte hain vo pasti hai

vahi ham the kabhi jo raat din phulon men tulte the

vahi ham hain ki turbat chaar phulon ko tarasti hai

karishme hain ki naqqash-e-azal nairangiyan teri

jahan men mail-e-rang-e-fana har naqsh-e-hasti hai

ise bhi navak-e-janan tu apne saath leta ja

ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai

har ik zarre men hai inni-inallah ki sada saaqi

ajab mai-kash the jin ki khaak men bhi josh-e-masti hai

khuda rakkhe dil-e-pur-soz teri shoala-afshani

ki tu vo shama hai jo raunaq-e-darbar-e-hasti hai

mire dil ke siva tu ne bhi dekhi bekasi meri

ki abadi na ho jis men koi aisi bhi basti hai

hijabat-e-taayyun mane-e-didar samjha tha

jo dekha to naqab-e-ru-e-janan meri hasti hai

ajab duniya-e-hairat alam-e-gor-e-ghariban hai

ki virane ka virana hai aur basti ki basti hai

kahin hai abd ki dhun aur kahin shor-e-anal-haq hai

kahin ikhfa-e-masti hai kahin iz.har-e-masti hai

banaya rashk-e-mehr-o-mah tiri zarra-navazi ne

nahin to kya hai ‘bedam’ aur kya ‘bedam’ ki hasti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Sufi Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-rahi

dil Ke Viran Raste Bhi dekh

ahmad-ali-barqi-azmi

Wo Hasb-e-Wada Na Aaya To Aankh Bhar Aai

Qismat Bure Kisi Ke Na Is Tarah Lae Din

Nazar Ke Samne Sahra-E-Be-Panahi Hai

Bujhe Charagh Se Mahtab Dekh Sakta Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet