pyaar ke bandhan kaaT rahe hain prem ka rishta toḌ rahe hain
shahr-e-mohabbat ke bashinde shahr-e-mohabbat chhoḌ rahe hain
armanon ke rah-varon ko janib-e-duniya moḌ rahe hain
ulfat ka dam bharne vaale ulfat ka dil toḌ rahe hain
itna ham ko ilm nahin tha hijr ke sadme sahne honge
ye qat.an ehsas nahin tha kis se naata joḌ rahe hain
is basti men rahna basna apne bas ki baat nahin hai
ḳhuddari ki farma.ish par shahr-e-mohabbat chhoḌ rahe hain
dekhen apni sarkash tauba saath hamara deti bhi hai
aap to nafrat ke patthar par jam-e-mohabbat phoḌ rahe hain
ai ‘parvez’ ye duniya vaale tadbiron se ghafil ho kar
qismat ki dahliz pe nahaq apne sar ko phoḌ rahe hain
Leave a Reply